ek nagar main ghahoon meyra
uss ki hur aik raat saweyra
uss ki kiya main baat batahoon
sara meyray purkhoon ka deyra
aik din usay main bhool geya
phir beythay beythay yaad aaya
kiya ker kay us kay saath aaya
uss ko ker kay berbad aaya
ek nagar main ghahoon meyra
daikhi sari dunia main nain
per ghahoon meyra hee acha tha
jahan piyaar buhaat hee sacha tha
jahan rishtay saray rishtay thay
jahan baatain sari sanji theen
ratoon ko baithnay jatay thay
jahaan bouray kahani sunatay thay
wo tehri meyray ghahoon main
wo peyrah meyray ghahoon main
our dand ka meyrah meyray ghahoon main
wo basti keysi basti thi
jahaan kilah baba jeysi hasti thi
din ko saray larkay sharkay
burah ki chahoon kay neechay jatay thay
kuch taash wash be khailtay thay
per kuch sou bee jatay thay
phir pas main tha apni jheel ka pani
jahan say thandi hawa aani
phir sham ko aatay aatay ghar ko
uss main thori si tari be lagani
souchtay souchtay hoi heyrani
kiyoon chour kay main ghahoon ko aaya
aa kay kiya perdaise main paya
aaho saray ghahoon ko jahain
ja kay neyhay school banahain
waheen apnay bachoon ko parahain
apni nasloon ko ghahoon daikhahian
our subah ko uth kay
bazourgoon ki qabroon pay jahain
unn ko aanain ki naweed sunahain
unn kay qadmoon main jaga banahain
ek nagar main ghahoon meyra
uss ki hur aik raat saweyra
No comments:
Post a Comment