Friday, September 3, 2010

dil ka shehar

aik din mujay aik shehar janain ka itfaaq howa
shehar kay gerad deewarain moum keen theen. ju zaroorat pernain pay kabi shakaht bee ho jateen theen.sehaar kay derwazay per aik guard khara tha jis ka name zehan tha loug usay damag be kehtay thay.
main iss say jazat lay ker chala geya. jatay hee mehsoos howa kay cigrate kay duhain say badal banay thay our ankhoon kay asman say barish barasnain wali thi.
dil kay goubar name ka aik toofaan aanain wala tha.bachnain kay leehay jaga doudnain laga tu aik chouta sa piyara sa ghar nazar aaya.jis kay ouper shafqat likha tha.main iss kay andhar ja ker achay mousam ka intazaar kernain laga.
ankhoon kay asman our douhain kay badlon say buhaat taiz barsh hoi.our saath he goubaar name ka toufaan be aaya.uss barish kay baad toufaan our badal khatam ho geyhay mager mayoosi name ka aik seylaab aaya. ju umeedoon kay baray baray dhaheroon ko baha lay geya.
main shafqat nami jaga pay bach geya kiyyon kay iss ki deewarain mazoot eyntoon piyaar,umeed our skoon say baneen theen.ju buhaat mazboot theen.
baher nikla daikhtay hee daikhtay mousam acha honay laga main be aagay burnain laga. zindagi mahmoool per aa rahi thi. loug sab kuch boula rahay thay. du housla our himat nami comander anthak kushsih ker rahay thay our sab ko samja rahay thay. kay sab theek hai sab theek ho ga .mager aik kabeelay ka serdar jis ka name samaj tha naheen maan raha tha our keh raha tha sab theek naheen ha.yeh phir ho ga .
un main bahas chal rahi thi mager main aagay nikal geya.
buhaat khoubsoooorat tha wo shehar mager jaga jaga say touta howa tha.nadeyoon say khoon rang ka pani beh raha tha.
wahan rehnain walay lougoon ka mashgala mehboob say baatain kerna tha.hur raat mehboob ki yaad man charagaan kya jata tha.hur subah kushi our gum nami teamoon ka match hota tha. aksar match main gum ka pala bahari rehta tha.kiyoon kay uss team main lamba khailanain walay khalareyoon main takleef,dukh our douka jeysay khalari thay.ju lamba khailtay thay.mager kabi kabi kushi team aik dam cha jati thi.uss kay khalari taiz khaltay our pooray match per cha jatay thay. un kay khalareyoon main mashoor khalari kushkhbri name ka khalari tha.ju atay hee sab per cha jata tha . mager kushi kay khalari jaldi aatay our cha jatay megr jaldi hee out ho jatay thay. tu gum zeyada dair ruknain ki waja say zeyada dair match er hawi rehta tha.
main nain chaltay chaltay aik buhaat khoobsoorat mahal daikha tu pata chala yeh malka ka mahal hai main nain soucha uss ki taraf chaloon.
mahal ka rasta suneed name ka rasta tha jis per deed name ki lights lageen theen.
pass pouncha tu chahat name ka darwaza tha .
darwaza khola tu ulfat nam ka qaleen para tha.qaleen per thora chala tu janoon name ka aik takhat nazar aaya. uss kay ouper isaq name ka taaj pehnay mohabat name ki malka baithi thi. itni piyari kay aik lamhay main muj kuch ho geya our main beyhoosh ho ker gir geya. jub hosh aaya tu kuch nahi tha. aray yeh tu dil tha.
adeel tanoli
ager ho sakay tu comments deyna

2 comments:

Anonymous said...

mjal ha jo ek b bat smj ae ho kasm syyyyyyy.......phr lgta nice hai

Friends said...

Great Adeel Bhai really very nice